23 march shayari
- Get link
- X
- Other Apps
Aatae Rab e Kareem Parcham
Hamara Parcham ye Pyara Parcham
Dil se nikle gy na mar kar bhi Watan ki ulfat
Mairi matti se bi khusho wafa aae gy
Aik howay tay to bana ta Pakistan
Aik rahay gay to bachay ga Pakistan
Us waqt qom ko aik mulk ki zarorat ty
Aaj is mulk ko aik qom ki zarorat hai
Mili nahy hai hamain Arz e Pak Tofay main
Jo lakhon deep bujey hain to ye Charaag jala hai
Zamane ko Hila daine k daaway bhandanay walo
Zamane ko hila daine ki taqat ham bi rakhte hain
Wo luttay puttay se qaafalay
Jo watan bana kar chalay gae
Jo na ruk sakay na jhuk sakay
jo chaman saja kar chale gae
hamain yaad hain hamain yaad hain
sar faroshi ki tamana ab hamare dil main hai
*New* 23 March Poetry in Urdu (23rd Youm e pakistan Shayari)
Dhaikna hai zor kitna baazo e Qatil main hai
Shaheedon ki zameen hai jisay Pakistan kehte hain
Ye banjar ho k bi kabi Buzdil paida nahy karti
Hazaron phool se chehre julas kay khaak howay
Bhari mehfil main is tarah apna charaag jala
Chalo k tor k rakh dain satam ki zanjeerain
Haseem khawab k manzir sabi amar kar dain
Khoon e dil dai k nikae gay Ruk e Barg e Gulab
Ham nay Gulshan k tahafuz ki qasam khae hai
Mujey dunya se kya matlab
maira ishq to Pakistan hai
Na main sindhi
Na Punjabi
Na Pathan
main hon Musalman
Maira Ghar hai Pakistan
Yaqeen Kijiye
Pakistan ka sirf hona hi Dushmano ki shakist ki sab se bari ilamat hai
Cheen or arab hamara Hindustan hamara
Muslim hain ham watan hai saara jahan hamara
Watan hamara aisay na chor pae koi
Rishta hamara aisa na tor pae koi
Dil hamara aik hai aik hai hamari jaan
Pakistan hamara hai ham sab ki hai ye shan
Guzarte lamhon main wafao ka pass rakhay gay
Marte howay bi tairi hi pyas rakhay gay
taire kochon par nichawar kar daini hain
apni jawani ki rahatain
apni umango ki chahatain
sab jazbon ki saatain
taira wajood hi maira wajood hai
taira qayaam hi maira qayaam hai
tu hai to maira naam hai
tapti dopehar main nakhlistan hai
Tu Maira Pakistan hai
Mairi Zaat ki pehchan hai
Tu Maira Pakistan hai
Ham to mit gae gay ae Arz e Watan laikin
Tum to zinda rehna hai Qayamat ki sehar hone tak
Hai qasam mujey is matti ki
main dais nahy mitne don ga
dai don ga jaan apni
Parcham nahy jukne don ga
Ghazi ya shaheed kehlao ga
Main Emaan nahy bikne don ga
Hai juram hai agar watan ki matti se mohabat
ye juram sada maire hisabo main rahay ga
Zalzalon ki na dastaras ho kabi
ae watan tairi istatamat tak
ham par guzre qayamatain laikin
tu salamat rahay qayamat tak
Ye mulk hamesha Abaad rahay ga
Azaad ta Azaad Hai or Azaad rahay ga
is parcham k saye talay ham aik hain
Saanji apni khushiya or gham aik hain ham aik hain
Watan Hamara
Abaad ta Abaad hai or Abaad rahay ga
- Get link
- X
- Other Apps
Comments
Post a Comment