ek line shayri in hindi urdu

 

Kitne dinon ke pyase honge yaaro socho to
Shabnam ka qatra bhi jin ko dariya lagta hai

Tu is tarah se mire saath bevafai kar
ki tere baad mujhe koi bevafa na lage

hava khafa thi magar itni sang-dil bhi na thi
hamin ko shama jalane ka hausla na hua

divaron se mil kar rona achcha lagta hai
ham bhi pagal ho jaenge aisa lagta hai

Ghar lauT ke roenge maan baap akele men
MiTTi ke khilaune bhi saste na the mele men 

check more ek line shayari

Tumhare shahr ka mausam bada suhana lage
Main ek shaam chura luun agar bura na lage

Ja kahiyo mera nasīm-e-sahar
Mira chain gaya miri niind gai

Ab ki jo rah-e-mohabbat men uThai taklif
Sakht hoti hamen manzil kabhi aisi to na thi

Roz mamura-e-duniya men kharabi hai zafar
Aisi basti ko to virana banaya hota

Yaan tak adu ka paas hai un ko ki bazm men
Wo baiThte bhī hain to mire ham-nashin se duur

Ghazab hai ki dil men to rakkho kudurat
Karo munh pe ham se safai ki baten

Ho gaya jis din se apne dil par us ko ikhtiyar
Ikhtiyar apna gaya be-ikhtiyari rah gai

Comments

Popular posts from this blog

23 march shayari

dhokebaaz dost shayari